pichhle kisī safar kā sitāra na DhūñD le
phir se kahīñ vo saath hamārā na DhūñD le
jis ko ki DhūñDhtī haiñ samundar kī vus.ateñ
dekho kahīñ vo shaḳhs kināra na DhūñD le
manzil hai us ke naam bas itnā rahe ḳhayāl
raste meñ naqsh-e-pā vo hamārā na DhūñD le
maanī thī ek baar jo dil ne ḳhirad kī baat
vaisā ye e'tidāl dobāra na DhūñD le
hotā nahīñ kisī se haq is kā adā 'faroġh'
kyuuñ zindagī ajal kā sahārā na DhūñD le