hañsne meñ rone kī aadat kabhī aisī to na thī
terī shoḳhī ġham-e-furqat kabhī aisī to na thī
ashk aa jaa.eñ to palkoñ pe biThāuñgā unheñ
qatra-e-ḳhūñ tirī izzat kabhī aisī to na thī
kisht-e-ġham aur bhī lahrāne lagī hañsne lagī
chashm-e-nam terī sharārat kabhī aisī to na thī
kitne ġham bhuul gayā shukriya terā ġham-e-yār
yuuñ mujhe terī zarūrat kabhī aisī to na thī
vo mujassam bhī jo aa jaa.e to dekhūñ na use
merī us but kī ibādat kabhī aisī to na thī
der tak baiThe pa kuchh tū ne na maiñ ne hī kahā
jaisī tujh se hai rifāqat kabhī aisī to na thī
ek ik sher se Tapke haiñ lahū ke qatre
merī dushman ye tabī.at kabhī aisī to na thī