dikhātā kyā hai ye TuuTī huī kamān mujhe
tirā shikār huuñ achchhī tarah se jaan mujhe
havā ne ret kī sūrat zamīñ pe likh dī hai
dikhā.ī detī hai patthar kī dāstān mujhe
ik āsmāñ ne zamīñ par girā diyā lekin
zamīñ ne phir se banā Daalā āsmān mujhe
maiñ is havā kā nahīñ pāniyoñ kā qaidī huuñ
na jaane kyuuñ liye phirtā hai bādbān mujhe
zamīñ se sirf jazīra dikhā.ī detā hai
koī na jaan sakā aaj tak chaTān mujhe
na jaane tiir kī mānind kaise chubhne lagā
vo shaḳhs lagtā thā TuuTī huī kamān mujhe