thā vo jañgal ki nagar yaad nahīñ
kyā thī vo rāhguzar yaad nahīñ
ye ḳhayāl aatā hai maiñ ḳhush thā bahut
kis taraf thā mirā ghar yaad nahīñ
kyā thī vo shakl pe bholī thī bahut
pyārā sā naam thā par yaad nahīñ
zaḳhmoñ ke phuul haiñ dil meñ ab bhī
kis ne baḳhshe the magar yaad nahīñ
ik ghanī chhāñv meñ din biitā hai
shab kahāñ kī thī basar yaad nahīñ
ek lamha to dhaḌaktā hai zarūr
ka.ī sadiyoñ kā safar yaad nahīñ
taaq the dāstāñ kahne meñ 'obaid'
ab ba-juz dīda-e-tar yaad nahīñ