ham ne aañkh se dekhā kitne sūraj nikle Duub ga.e
lekin tāroñ se pūchho kab nikle chamke Duub ga.e
do saa.e pahle ākāsh tale sāhil par baiThe the
lahroñ ne lipTānā chāhā aur bechāre Duub ga.e
peḌoñ par jo naam likhe the vo to ab bhī baaqī haiñ
lekin jitne bhī tālāb meñ patthar pheñke Duub ga.e
ūñche ghar ākāsh chhupā kar apne aap pe nāzāñ haiñ
chāroñ or khule ākāsh ke sūraj pīchhe Duub ga.e
ab to hameñ ik sher kā honā bhī nā-mumkin lagtā hai
ab to din kī niilī jhiil meñ raat ke taare Duub ga.e