Farogh Zaidi

ai meri jaan tujhe aur badalna hoga

Farogh Zaidi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1966
ai mirī jaan tujhe aur badalnā hogā
phir mire saath kaḌī dhuup meñ chalnā hogā
apne pairoñ pe abhī qarz-e-safar baaqī hai
hadd-e-imkān se aage bhī nikalnā hogā
is se pahle ki Dhale raat nayā din nikle
tire ḳhvāboñ ko mire ḳhvāb meñ Dhalnā hogā
inqilābāt kā āġhāz bhī hogā lekin
le ke parcham sar-e-bāzār nikalnā hogā
kāmyābī kā yaqīñ duur na kar de ham ko
paas manzil ke zarā aur sambhalnā hogā
vādiyoñ meñ to kisī ḳhvāb kī bhaTke hai 'faroġh'
tujh ko ta.abīr ke sahrā meñ bhī jalnā hogā
Top Urdushayar.com