dil diyā hai ham ne bhī vo māh-e-kāmil dekh kar
zard ho jaatī hai jis ko sham-e-mahfil dekh kar
tere aariz pe ye nuqta bhī hai kitnā intiḳhāb
ho gayā raushan tire ruḳhsār kā til dekh kar
qatl karnā be-gunāhoñ kā koī āsān hai
ḳhushk qātil kā lahū hai ḳhūn-e-bismil dekh kar
balliyoñ fart-e-masarrat se uchhal jaatā hai dil
bahr-e-ġham meñ duur se dāmān-e-sāhil dekh kar
ā.īne ne kar diyā yaktā.ī kā daavā ġhalat
naqsh-e-hairat ban ga.e apnā muqābil dekh kar
dekh to leñ dil meñ tere ghar bhī kar sakte haiñ ham
dil to ham deñge tujhe lekin tirā dil dekh kar
dekhiye rāh-e-adam meñ aur pesh aatā hai kyā
hosh parrāñ ho rahe haiñ pahlī manzil dekh kar
ārzu-e-hūr kyā ho 'nāz' dil de kar unheñ
sham.a par kyā aañkh Dāleñ māh-e-kāmil dekh kar