Sher Singh Naaz Dehlvi

zulf-e-jaanan pe tabiat meri lahrai hai

Sher Singh Naaz Dehlvi

Delhi, India

1897-1962
zulf-e-jānāñ pe tabī.at mirī lahrā.ī hai
saañp ke muñh meñ mujhe merī qazā laa.ī hai
aaj mai-ḳhāne pe ghanghor ghaTā chhā.ī hai
ek duniyā hai ki piine ko umaD aa.ī hai
zulf-e-shab-rañg kā hai aks ye paimāne meñ
yā parī koī ye shīshe meñ utar aa.ī hai
tū batā nāvak-e-jānāñ tirī kyā hai nīyat
ḳhanjar-e-yār ne to sar kī qasam khaa.ī hai
huur o ġhilmāñ mirī āñkhoñ meñ samā.eñ kyuuñ kar
kis meñ terī sī adā terī sī rānā.ī hai
kuchh mudāvā na huā tum se marīz-e-ġham kā
kyā isī barte pe dāvā-e-masīhā.ī hai
surḳhi-e-ḳhūn-e-shahīdāñ kī jhalak hai is meñ
dast-e-qātil pe ġhazab rañg hinā laa.ī hai
Top Urdushayar.com