Sher Singh Naaz Dehlvi

dam-e-aKHir bhi humne zaban se kuchh na kaha

Sher Singh Naaz Dehlvi

Delhi, India

1897-1962
dam-e-aḳhīr bhī ham ne zabāñ se kuchh na kahā
jahāñ se uTh ga.e ahl-e-jahāñ se kuchh na kahā
chalī jo kashti-e-umr-e-ravāñ to chalne dī
rukī to kashti-e-umr-e-ravāñ se kuchh na kahā
ḳhatā-e-ishq kī itnī sazā hī kaafī thī
badal ke rah ga.e tevar zabāñ se kuchh na kahā
balā se ḳhaak huā jal ke āshiyāñ apnā
taḌap ke rah ga.e barq-e-tapāñ se kuchh na kahā
gila kiyā na kabhī un se bevafā.ī kā
zabāñ thī laakh dahan meñ zabāñ se kuchh na kahā
ḳhushī se ranj sahe 'nāz' umr bhar ham ne
ḳhudā-gavāh kabhī āsmāñ se kuchh na kahā
Top Urdushayar.com