kyoñ vo merā markaz-e-afkār thā
jis ke hone se mujhe inkār thā
yuuñ to mushkil thī bahut terī talāsh
ḳhud ko apnā aur bhī dushvār thā
us ke hisse meñ dar-o-dīvār the
merā hissa sāya-e-dīvār thā
rafta rafta sab ke jaisā ho gayā
pahle maiñ bhī sāhab-e-kirdār thā
dūriyoñ ne qurbateñ baḳhshīñ hameñ
milnā-julnā bā.is-e-takrār thā
kaise baḌhtā qāfila aage 'faroġh'
har koī jab qāfila-sālār thā