zindagī naam hai jis chiiz kā kyā hotī hai
chaltī phirtī ye zamāne kī havā hotī hai
sair duniyā kī na kuchh yād-e-ḳhudā hotī hai
umr inhīñ jhagḌoñ meñ tārāj-e-fanā hotī hai
ruuh jab qālib-e-ḳhākī se judā hotī hai
kis ko mālūm kahāñ jaatī hai kyā hotī hai
fikr-e-duniyā se sivā ho jise uqbā kā ḳhayāl
vo tabī.at hī zamāne se judā hotī hai
Dil-e-pur-ġham abhī ban jaa.e davā-e-taskīn
vo nazar Daal jo mānūs-e-vafā hotī hai
sādiqul-qaul kī pahchān yahī hai ai 'nāz'
dil meñ Dar hotā hai āñkhoñ meñ hayā hotī hai