kuchh ishāre vo sar-e-bazm jo kar jaate haiñ
nāvak-e-nāz kaleje meñ utar jaate haiñ
ahl-e-dil rāh-e-adam se bhī guzar jaate haiñ
nām-levā tire be-ḳhauf-o-ḳhatar jaate haiñ
safar-e-zīst huā ḳhatm na sochā lekin
ham ko jaanā hai kahāñ aur kidhar jaate haiñ
nigah-e-lutf meñ hai uqda-kushā.ī muzmar
kaam bigḌe hue bandoñ ke sañvar jaate haiñ
qābil-e-dīd hai mahshar meñ ḳhajālat un kī
do qadam chalte haiñ rukte haiñ Thahar jaate haiñ
ḳhuub badnām kiyā apnī siyahkārī ne
uñgliyāñ uThtī haiñ mahshar meñ jidhar jaate haiñ
aañkh khul jaatī hai chauñk uThte haiñ sone vaale
vo dabe paañv jo turbat se guzar jaate haiñ
chārāgar hājat-e-marham nahīñ un ko aslan
zaḳhm-e-dil lazzat-e-īsār se bhar jaate haiñ
āh-e-sozāñ se jo nikle the sitāre shab-e-ġham
ban ke taare vahī gardūñ pe bikhar jaate haiñ
aaj tak lauT ke aayā na jahāñ se koī
ham-safīrān-e-jahāñ ham bhī udhar jaate haiñ
bahr-e-ġham meñ vahī phañste haiñ jo hote haiñ girāñ
jo subuk hote haiñ vo paar utar jaate haiñ
kushta-e-nāz tirā kyuuñ na zamīñ par loTe
dāġh-e-dil jitne haiñ is tarah vo bhar jaate haiñ