bātoñ meñ DhūñDte haiñ vo pahlū malāl kā
matlab ye hai ki zikr na aa.e visāl kā
kyā zikr un se kījiye dil ke malāl kā
hai ḳhāmushī javāb mire har savāl kā
tā umr phir na tālib-e-jalva hue kalīm
dekhā jo ek baar karishma jamāl kā
ruḳh par paḌī huī hai naqāb-e-shuā-e-husn
mauqa.a nazar ko ḳhaak mile dekh-bhāl kā
ham nā-murād-e-ishq vo hijrāñ-nasīb haiñ
dekhā na ham ne muñh kabhī shām-e-visāl kā
būd-o-nabūd kahte haiñ ahl-e-jahāñ jise
adnā sā sho.abada hai tilism-e-ḳhayāl kā