vo had se duur hote jā rahe haiñ
baḌe maġhrūr hote jā rahe haiñ
base haiñ jab se vo merī nazar meñ
sarāpā nuur hote jā rahe haiñ
jo phūTe aable dil kī ḳhalish se
vo ab nāsūr hote jā rahe haiñ
bahut mushkil hai manzil tak rasā.ī
vo kosoñ duur hote jā rahe haiñ
kahāñ pahlī sī rāh-o-rasm-e-ulfat
na.e dastūr hote jā rahe haiñ
hamāre dāġh-e-dil rāh-e-talab meñ
charāġh-e-tūr hote jā rahe haiñ
ḳhudā-hāfiz hai ab bāda-kashoñ kā
nashe meñ chuur hote jā rahe haiñ
pilā de sāqiyā bāda-kashoñ ko
nashe kāfūr hote jā rahe haiñ
qarīb-e-dil vo kyā ai 'nāz' aa.e
nazar se duur hote jā rahe haiñ