Sher Singh Naaz Dehlvi

hijab-e-raaz faiz-e-murshid-e-kaamil se uThta hai

Sher Singh Naaz Dehlvi

Delhi, India

1897-1962
hijāb-e-rāz faiz-e-murshid-e-kāmil se uThtā hai
nazar haq-āshnā hotī hai parda dil se uThtā hai
jalā jaatā huuñ bār-e-soz-e-ġham mushkil se uThtā hai
vo ashkoñ se nahīñ bujhtā jo shola dil se uThtā hai
kahāñ ḳhanjar bhī dast-e-nāvak-e-qātil se uThtā hai
nazākat se hinā kā baar bhī mushkil se uThtā hai
ye kis ne Daal dī bahr-e-talātum-ḳhez meñ kashtī
ye shor-e-harche-bāda-e-bād kyuuñ sāhil se uThtā hai
kashīda jis se tum hote ho koī ruḳh nahīñ kartā
girāte ho nazar se tum jise mushkil se uThtā hai
ye aañsū kasm-pursī kis ke mātam meñ bahātī hai
janāza aaj kis kā kūcha-e-qātil se uThtā hai
magar tāsīr paidā ho ga.ī majnūñ ke nāloñ meñ
ki parda aaj dast-e-laila-e-mahmil se uThtā hai
ruḳh-e-be-parda un kā yaad aatā hai shab-e-hijrāñ
hijāb-e-abr jab rū-e-mah-e-kāmil se uThtā hai
lagā dī ātish-e-ḳhāmosh kyā soz-e-mohabbat ne
ilāhī ḳhair dūd-e-āh-e-sozāñ dil se uThtā hai
kiyā sharminda itnā saḳht-jānī ne nazākat se
ḳhajālat se sar un ke sāmne mushkil se uThtā hai
kaleja thaam leñ dīdār-e-jānāñ dekhne vaale
bas ab parda ruḳh-e-rashk-e-mah-e-kāmil se uThtā hai
chale ahbāb āġhosh-e-lahad meñ chhoḌ kar mujh ko
ki hamdardī kā jazba pahlī hī manzil se uThtā hai
Top Urdushayar.com