kasrat-e-vahdāniyat meñ husn kī tanvīr dekh
dīda-e-haq-bīñ se rañg-e-ālam-e-tasvīr dekh
is qadar khiñchnā nahīñ achchhā but-e-be-pīr dekh
pyaar kī nazroñ se sū-e-āshiq-e-dil-gīr dekh
ġhair ne mujh par sitam Dhaa.e haiñ Dhāle aaj tū
rah na jaa.e koī bhī tarkash meñ baaqī tiir dekh
kaam ban ban kar bigaḌ jaate haiñ lākhoñ raat din
kis qadar hai mujh se bargashta mirī taqdīr dekh
phir na ye kahnā ki ḳhat likkhā hai kis ne ġhair ko
le ye hai maujūd tere haath kī tahrīr dekh
hārnā himmat dalīl-e-kāmyābī se hai duur
kaam le tadbīr se phir ḳhūbi-e-taqdīr dekh
gumbad-e-gardūñ sambhal ai gumbad-e-gardūñ sambhal
kar na de sad paash tīr-e-āh par tāsīr dekh
chaar din kī zindagī par musht-e-ḳhāk itnā ġhurūr
piis degā ek din ye āsmān-e-pīr dekh
be-bulā.e to nahīñ aayā tirī mahfil meñ 'nāz'
dekh haañ haañ dekh apne haath kī tahrīr dekh