Sher Singh Naaz Dehlvi

qulzum-e-ulfat mein wo tufan ka aalam hua

Sher Singh Naaz Dehlvi

Delhi, India

1897-1962
qulzum-e-ulfat meñ vo tūfān kā aalam huā
jo safīna dil kā thā darham huā barham huā
thāmnā mushkil dil-e-muztar ko shām-e-ġham huā
yaad aate hī kisī kī hashr kā aalam huā
kyā batā.eñ kis tarah guzrī shab-e-vāda mirī
muntazir āñkheñ rahīñ dil kā ajab aalam huā
dekhte rahte haiñ is meñ saare aalam kā zuhūr
ā.īna dil kā hamāre rashk-e-jām-e-jam huā
vo adū ko saath laa.e haiñ mire ghar dekhiye
sharbat-e-dīdār ke nusḳhe meñ dāḳhil sam huā
aap ke tīr-e-nazar se dil kā bachnā hai muhāl
jis ko dekhā aañkh bhar kar bas vahī hamdam huā
kis qadar taskīn ranjūr-e-mohabbat ko huī
pyaar se dekhā jo us ne zaḳhm ko marham huā
jab uThāyā yaar ne rū-e-munavvar se naqāb
gir paḌā ġhash khā ke koī aur koī be-dam huā
gulshan-e-hastī meñ insāñ kī nahīñ kuchh zindagī
jo huā paidā misāl-e-qatra-e-shabnam huā
gesu-e-pur-ḳham hue un ke pareshāñ sog meñ
mere marne se dayār-e-husn meñ mātam huā
baad marne ke huā duniyā meñ yuuñ mash.hūr 'nāz'
shaan se tābūt uTThā dhuum kā mātam huā
Top Urdushayar.com