Sher Singh Naaz Dehlvi

shab-e-firaq jo dil mein KHayal-e-yar raha

Sher Singh Naaz Dehlvi

Delhi, India

1897-1962
shab-e-firāq jo dil meñ ḳhayāl-e-yār rahā
pas-e-fanā bhī tasavvur meñ intizār rahā
uḌā rahe haiñ mirī ḳhaak ko vo Thokar se
ilāhī mujh se to achchhā mirā ġhubār rahā
nazar milāte hī hāthoñ se dil chalā merā
kisī ko dekh ke dil par na iḳhtiyār rahā
kisī kī nargis-e-mastāna phir ga.ī jab se
na vo surūr na āñkhoñ meñ vo ḳhumār rahā
shab-e-firāq kī tanhā.ī meñ thā kaun aniis
ḳhayāl-e-yār hī ik apnā ġham-gusār rahā
vafā nahīñ to nahīñ mūrid-e-jafā hī sahī
hazār shukr ki maiñ dāḳhil-e-shumār rahā
ye Dore Daale haiñ kis chashm-e-mast ne ai 'nāz'
ki hashr tak mirī āñkhoñ meñ ik ḳhumār rahā
Top Urdushayar.com