aisā lagtā hai samajhdār hai duniyā saarī
maiñ huuñ is paar to us paar hai duniyā saarī
is na.ī dauḌ meñ aage hai na pīchhe koī
dām-e-ujlat meñ giraftār hai duniyā saarī
dostī aur dikhāve kī mohabbat karnā
sab kā sheva hai adākār hai duniyā saarī
qāfile dil ke sar-e-ām haiñ luuTe jis ne
usī rahzan kī talabgār hai duniyā saarī
aap andāz kuchh apnā to badal lete 'faroġh'
chaliye maanā ki ḳhatāvār hai duniyā saarī