Muneer Shikohabadi

hai id lao mai-e-lala-fam uTh uTh kar

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
hai iid laao mai-e-lāla-fām uTh uTh kar
gale lagāte haiñ shīshoñ ko jaam uTh uTh kar
havā chalī mirī uftādgī kī ai saaqī
gireñge nashshe meñ sab ḳhush-ḳhirām uTh uTh kar
zamīn-o-arsh-o-falak pā.emāl hote haiñ
na jaao sahn se bālā-e-bām uTh uTh kar
koī bashar na ho maġhrūr jism-e-ḳhākī par
ki baiThte haiñ bahut qasr-e-ḳhām uTh uTh kar
dam-e-sahar nazar aayā hai kis kā muñh yārab
sanam jo karte haiñ mujh ko salām uTh uTh kar
zarā uThā.iye tābūt apne āshiq kā
ḳhudā kī raah kā karte haiñ kaam uTh uTh kar
qayāmat aa.ī hai halchal hai āsmānoñ par
na phiriye bahr-e-ḳhudā baam baam uTh uTh kar
paḌe haiñ paañv kī sūrat zabān meñ ghaTTe
ye qāsidoñ ko diye haiñ payām uTh uTh kar
banegī sho.ala-e-javvāla gardish-e-qismat
tumhāre gird phiregā ġhulām uTh uTh kar
baḌhegī baat na baiTheñge chupke ham ai but
raqīb se jo karoge kalām uTh uTh kar
rahegī āshiqoñ ke dast-o-pā meñ jab tak his
tumhārī leñge balā.eñ mudām uTh uTh kar
ḳhudā biThā.e agar karbalā meñ mujh ko 'munīr'
phirūñ maiñ gird-e-mazār-e-imām uTh uTh kar
Top Urdushayar.com