Muneer Shikohabadi

halqa halqa ghar bana laKHt-e-dil-e-betab ka

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
halqa halqa ghar banā laḳht-e-dil-e-betāb kā
zulf-e-jānāñ meñ hai aalam sub.ha-e-sīmāb kā
sone meñ nazzāra kar luuñ rū-e-ālam-tāb kā
ḳhauf kyā duzd-e-nigah ko hai shab-e-mahtāb kā
khel bhī betāb thā tiflī meñ us betāb kā
par uḌātā thā havā par māhī-e-be-āb kā
ruk nahīñ saktā hai dariyā dīda-e-pur-āb kā
paaT hai rūmāl merā dāman-e-sailāb kā
ḳhvāb meñ yārān-e-rafta se mulāqāteñ huiiñ
ham ne samjhā ḳhizr ġhaflat ko rah-e-ahbāb kā
kahte haiñ sab dekh kar betāb merā uzv uzv
aadmī ab tak nahīñ dekhā kahīñ sīmāb kā
niiñd kī sūrat nahīñ dekhā ba-juz dāġh-e-jigar
parda merī aañkh meñ shāyad ki hai kam-ḳhvāb kā
lag ga.ī aag ātish-e-ruḳh se naqāb-e-yār meñ
dekh lo jaltā hai konā chādar-e-mahtāb kā
majlis-e-be-sham.a vo haiñ sham-e-be-majlis huuñ maiñ
ġham mirā ahbāb ko hai mujh ko ġham ahbāb kā
hijr-e-jānāñ ke alam meñ ham farishte ban ga.e
dhyān muddat se chhuTā āb-o-ta.ām-o-ḳhvāb kā
ahl-e-taslīm-o-razā se sar-bulandoñ kī hai zeb
ḳhushnumā zer-e-manār o qurb hai mehrāb kā
jhuk ke ham ne bosa-e-abrū kī jab māñgī duā
halqa-e-āġhosh par aalam huā mehrāb kā
is qadar fariyād mahshar-ḳhez ai bulbul na kar
dekhnā taḳhta na ulTe gulshan-e-shādāb kā
mohr-e-dast-āvez-e-ġham hai har bashar kā dāġh-e-ġham
dil hai mahzar sohbat-e-gum-karda-e-ahbāb kā
be-takalluf aa gayā vo mah dam-e-fikr-e-suḳhan
rah gayā pās-e-adab se qāfiya ādāb kā
parvarish taqdīr kartī hai mujhe bahr-e-qazā
zab.h ko parvarda karnā kaam hai qassāb kā
nashsha-e-jur.at ziyāda ho gayā ai mai-kasho
sāġhar-e-mai ban gayā kaasa sar-e-sohrāb kā
mū-e-ātish-dīd saañ bal khaa.e vo mū-e-kamar
maiñ jo likkhūñ garm mazmūñ us tilā.ī Daab kā
ho gayā huuñ maiñ naqāb-e-rū-e-raushan par faqīr
chāhiye tah-band mujh ko chādar-e-mahtāb kā
ḳhāl-o-ḳhat se aib us ke rū-e-aqdas ko nahīñ
husn hai mus.haf meñ honā nuqta-e-e.arāb kā
dost dushman se ziyāda tez rakhte haiñ chhurī
barhaman bhī pesha ab karne lage qassāb kā
hoñT par añgusht-e-rañgīñ rakh ke vo kahne lage
shāḳh-e-marjāñ ne samar paidā kiyā unnāb kā
lāġharī ke saath betābī yahī ai bahr-e-husn
ḳhaar hai ye jism-e-lāġhar māhī-e-be-āb kā
terī furqat meñ jo aa.e bhuul kar āñkhoñ meñ niiñd
mardumān-e-chashm ne phir muñh na dekhā ḳhvāb kā
mere murġh-e-dil kī betābī uḌaa.ī kis tarah
hausla aisā nahīñ hai tā.ir-e-sīmāb kā
ḳhidmat-e-aqdas meñ chal kar ye ġhazal paḌh ai 'munīr'
shohra sab ahl-e-suḳhan meñ hai tire navvāb kā
Top Urdushayar.com