Muneer Shikohabadi

dil to pazhmurda hai dagh-e-gulsitan hon to kya

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
dil to pazhmurda hai dāġh-e-gulsitāñ hoñ to kyā
āñkheñ rotī haiñ dahān-e-zaḳhm ḳhandāñ hoñ to kyā
dāġh-e-ġham dil par uThā kar marne vaale mar ga.e
burj qabroñ ke agar sarv-e-charāġhāñ hoñ to kyā
begameñ shahzādiyāñ phirne lagīñ ḳhāna-ḳharāb
ab chuḌeleñ sāhibān-e-qasr-o-dīvāñ hoñ to kyā
farsh-e-ḳhāk ab ahl-e-masnad ko nahīñ hotā nasīb
boriyā-bāf aaj zeb-e-taḳht-e-sultāñ hoñ to kyā
masjideñ TuuTī paḌī haiñ saume.e vīrān haiñ
yād-e-haq meñ ek do dil-hā-e-sozāñ hoñ to kyā
sūfiyān-sāf-tīnat vāsil-e-haq ho ga.e
ḳhud-numā do chaar nañg-e-ahl-e-irfāñ hoñ to kyā
bujh ga.iiñ sham.eñ jaleñ parvāne to kyā fā.eda
uḌ ga.e parvāne sham.eñ nūr-afshāñ huuñ to kyā
saḳht-jān o be-hayā do chaar ham se jo rahe
har ghaḌī pāband-e-ḳhauf-e-izzat-o-jāñ hoñ to kyā
karbalā meñ yā najaf meñ chal ke mar jaa.eñ 'munīr'
hind meñ ham pahlū-e-gor-e-ġharībāñ hoñ to kyā
Top Urdushayar.com