tere hāthoñ se miTegā naqsh-e-hastī ek din
baaḌh rakh degī chhurī par tez-dastī ek din
terī āñkhoñ se dil-e-nāzuk giregā nashshe meñ
taaq se shīsha girā degī ye mastī ek din
zāhido puujā tumhārī ḳhuub hogī hashr meñ
but banā degī tumheñ ye haq-parastī ek din
āñkheñ dozaḳh meñ bhī señkegā tirā dil-soḳhta
aag ban jā.egī ye ātish-prastī ek din
ḳhūbī-e-shamshīr-e-abrū kā tamāshā dekhte
donoñ bāgoñ aap kī talvār kastī ek din
ḳhuun merā rā.egāñ nāhaq bahāte haiñ huzūr
karnī hai rañg-e-hinā kī pesh-dastī ek din
jild-e-pistāñ tak mirā kab tak na hogā dastaras
in turanjoñ kī bhī qīmat hogī sastī ek din
zulf-e-kāfir-kesh lipTegī qadam se ai sanam
hindu-e-shab bhī karegā but-parastī ek din
jaan baḳhsho sar mire lāshe kā Thukrāo kabhī
sāġhar-e-ḳhālī meñ bhar do shahd-e-hastī ek din
nīlgūñ kar deñge mal kar chhātiyāñ ai rashk-e-mehr
terī añgiyā kī kaTorī hogī jastī ek din
ḳhuub kar tārīf-e-navvāb-e-zafar-jañg ai 'munīr'
kaam aa jā.egī ye āqā-parastī ek din