Muneer Shikohabadi

aisi hui sarsabz-shikayat ki kaDi baat

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
aisī huī sarsabz-shikāyat kī kaḌī baat
sabze kī tarah kaan meñ us gul kī paḌī baat
kyūñkar dahan-e-tañg se zāhir ho kaḌī baat
muñh aap kā chhoTā hai na niklegī baḌī baat
gul-rañg tire hoñTh hue bār-e-suḳhan se
ai jaan uḌā le ga.ī missī kī dhaḌī baat
tere suḳhan-e-saḳht meñ hai husn-e-nazākat
kānoñ ko huī pamba-e-mahtāb kaḌī baat
is pech se tum mujh ko uḌāte ho dam-e-nutq
zanjīr-e-ram-e-hosh kī bantī hai kaḌī baat
taqrīr tirī shāḳh-e-gul-e-tāza hai ai mast
detī hai kaf-e-bāda meñ phūloñ kī chhaḌī baat
vasf-e-dur-e-dandāñ se ye baḌh jaate haiñ rutbe
rag rag ko banā detī hai motī kī laḌī baat
har kaan huā hai sabad-e-gul se ziyāda
kyā phuul ke mānind tire muñh se jhaḌī baat
dhotā hai suḳhan dil se ġhubār-e-ġham-e-duniyā
hai gard-e-alam ke liye sāvan kī jhaḌī baat
kyā mohr banā.ī tire yāqūt-e-suḳhan kī
mānind-e-nagīñ ham ne añgūThī meñ jaḌī baat
naqd-e-suḳhan-e-pāk diyā gard-e-qalaq meñ
ganjīne ke mānind tah-e-ḳhāk gaḌī baat
jis roz maiñ gintā huuñ tire aane kī ghaḌiyāñ
sūraj ko banā detī hai sone kī ghaḌī baat
ustād ke ehsān kā kar shukr 'munīr' aaj
kī ahl-e-suḳhan ne tirī tārīf baḌī baat
Top Urdushayar.com