Farogh Zaidi

ilm-o-hunar se qaum ko raghbat nahin rahi

Farogh Zaidi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1966
ilm-o-hunar se qaum ko raġhbat nahīñ rahī
is par shikāyateñ ki fazīlat nahīñ rahī
badlegā kyā nizām kab aa.egā inqilāb
jab naujavāñ lahū meñ harārat nahīñ rahī
mazlūm ko dilā.e jo har zulm se najāt
aisī jahāñ meñ koī adālat nahīñ rahī
sajde meñ jā ke māñgnā be-kār ne.amateñ
kuchh bhī kaho use ye ibādat nahīñ rahī
fatve liye haiñ shaiḳh se pīr-e-muġhāñ ne ḳhaas
piine meñ ab zarā bhī qabāhat nahīñ rahī
masjid kā ruḳh kiyā hai janāb-e-'faroġh' ne
lagtā hai ab gunāh meñ lazzat nahīñ rahī
Top Urdushayar.com