ġham sahte haiñ par ġhamza-e-bejā nahīñ uThtā
marte haiñ magar nāz-e-masīhā nahīñ uThtā
kab paan raqīboñ ko ināyat nahīñ hote
kis roz mire qatl kā beḌā nahīñ uThtā
bal paḌte haiñ pahoñche meñ lachaktī hai kalā.ī
nāzuk haiñ bahut phūloñ kā gajrā nahīñ uThtā
farmā.iye irshād pahāḌoñ ko uThā luuñ
par rashk kā sadma nahīñ uThtā nahīñ uThtā
kūche meñ 'munīr' un ke maiñ baiThā to vo bole
hai hai mire darvāze se pahrā nahīñ uThtā