hamārī ruuh jo terī galī meñ aa.ī hai
ajal ke sadqe meñ ye raah dekh paa.ī hai
vahāñ pahuñch nahīñ saktīñ tumhārī zulfeñ bhī
hamāre dast-e-talab kī jahāñ rasā.ī hai
lahū mirā tirī talvār se milā aisā
ki nāgavār pas-e-zabah bhī judā.ī hai
na pūchhiye ki tū jaltā hai kyuuñ raqīboñ se
vahī ye aag hai jo aap ne lagā.ī hai
nisār-e-hazrat-e-āġhā-alī-'hasan'-ḳhāñ huuñ
ziyāda had se mirī aabrū baḌhā.ī hai