fasl-e-bahār aa.ī hai paimāna chāhiye
bulbul ke saath nāra-e-mastāna chāhiye
ushshāq-e-sham.a-e-husn ko kyā kyā na chāhiye
parvāz-e-rañg ko par-e-parvāna chāhiye
piirī meñ raat din hameñ paimāna chāhiye
rāsha ke badle laġhzish-e-mastāna chāhiye
vahshat meñ baat aql kī sunñā na chāhiye
kānoñ meñ pamba-e-kaf-e-dīvāna chāhiye
kañghī banā.ūñ chob-e-asā-e-kalīm kī
tasḳhīr mār-e-gesū-e-jānāna chāhiye
dariyā-e-vahdat-o-chaman-e-dahr se hameñ
durr-e-yagāna sabza-e-begāna chāhiye
āb-o-ġhizā-e-āshiq-e-dandāñ muhāl hai
roz āb-o-dāna-e-dur-e-yakdāna chāhiye
maiñ sā.il-e-kamāl-e-junūñ huuñ mire liye
kajkol kāsa-e-sar-e-dīvāna chāhiye
asrār-e-haq haiñ dil meñ magar dil hai be-ḳhabar
is ganj ke liye yahī vīrāna chāhiye
sair-e-bahisht chāhte haiñ nashshe meñ mudām
mastoñ ko chashm-e-hūr kā paimāna chāhiye
go be-naqāb rahte ho parde meñ hai hijāb
dar-parda ham se aap ko chhupnā na chāhiye
āshiq banā ke ham ko jalāte haiñ sham.a-rū
parvāna chāhiye unheñ parvāna chāhiye
ai pīr-e-mai-farosh dar-e-tauba kī tarah
vā roz-e-hashr tak dar-e-mai-ḳhāna chāhiye
tā-marg āshnā na huā ek sabza rañg
turbat par apnī sabza-e-begāna chāhiye
dushman hai vo to tum bhī na ho dost ai 'munīr'
apnā burā na chāhiye achchhā na chāhiye