Muneer Shikohabadi

tirchhi nazar se dekhiye talwar chal gai

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880

tirchhī nazar se dekhiye talvār chal ga.ī

zaḳhm-e-jigar raah se hasrat nikal ga.ī

mal-dal se vasl meñ tirī mahram nikal ga.ī

chuTkī se ai parī bunat añgiyā mal ga.ī

bulbul ko mast kartī hai ḳhushbū libās

shāyad nasīm itr-e-bahār aaj mal ga.ī

kañghī se itnī der meñ suljhā.ī ek zulf

ai jaan aadhī raat bakheḌe meñ Dhal ga.ī

mazmūn terī zard hinā na bañdh sakā

manhad machhlī haath meñ aa kar nikal ga.ī

itnā na kījiye gul-e-ruḳhsār par ġhurūr

do din ye bahār hai aaj aa.ī kal ga.ī

andāz tere haal sīkhī jo raat ko

teġh-e-hilāl kabk par ai maah chal ga.ī

sar se hamāre phir ga.ī shamshīr-e-barq-dam

ai jaan girte girte ye bijlī sambhal ga.ī

kyā saaf gaal haiñ ki na Thahre nazar kahīñ

be-sāḳhta nigāh hamārī phisal ga.ī

rañg-e-vafā uḌā dil-e-saḳht-e-raqīb se

botal meñ ye sharāb na Thahrī ubal ga.ī

kyuuñ chashm-e-mast ho ga.e jām-e-sharāb aaj

kyā ho gayā jo aañkh tumhārī badal ga.ī

mazmūn-e-garm par mere ta.ana na kar sake

añgusht-e-e'tirāz harīfoñ chal ga.ī

miTTī mirī ḳharāb huī rāh-e-ishq meñ

barbād kar ke un savārī nikal ga.ī

mujh se pūchhtā hai mirā nāma-bar patā

aisī firāq-e-yār meñ sūrat badal ga.ī

ai shoḳh terī dast-darāzī se nashshe meñ

gardūñ tak āftāb pagḌī uchhal ga.ī

de kar mai-e-do-ātisha us se lipaT gayā

do āñchoñ meñ raqīb kyā daal gal ga.ī

jannat se bahra-var hoñ zafar-gañj ai 'munīr'

jo jo thī aarzū mire dil meñ nikal ga.ī

Top Urdushayar.com