āñkheñ ḳhudā ne baḳhshī haiñ rone ke vāste
do kashtiyāñ milī haiñ Dubone ke vāste
uryāñ chalūñ maiñ qabr meñ sone ke vāste
kaafī hai mujh ko post bichhaune ke vāste
kushtoñ ke khet meñ jo huzūr aaj hañs paḌe
motī ke daane mil ga.e bone ke vāste
niiñd uḌ ga.ī hai rañg-e-talā.ī kī yaad meñ
pāras kā surma chāhiye sone ke vāste
afsūñ se sāmrī ko jalāte haiñ vasl meñ
jaadū jagā rahe haiñ vo Tone ke vāste
taḌpā maiñ ḳhaak par to kiyā charḳh ne karam
bijlī girā.ī mere bichhaune ke vāste
ḳhvābīdgān-e-ḳhāk haiñ giryāñ mazār par
sotoñ kī āñkheñ khul ga.iiñ rone ke vāste
ye ghul ke mar gayā huuñ ki merā kafan tamām
jaalā banā hai qabr ke kone ke vāste
jiinā hai sab ko maut hai tasvīr kī tarah
naqshe jame hue haiñ na hone ke vāste
sañgīñ dilī se champa.ī rañgoñ kī hai chamak
sañg-e-mahak zarūr hai sone ke vāste
goyā zabān huuñ dahan-e-rozgār meñ
kyā kyā maze mile mujhe khone ke vāste
naqsh-e-nagīn-e-mohr mirā naqsh-e-āb hai
paidā huā huuñ naam Dubone ke vāste
dāñtoñ ke ishq meñ hai ye iġhrāq-e-lāġharī
dauḌā huuñ motiyoñ ke pirone ke vāste
chakkī lagī hai bosa-e-husn malīh kī
zaḳhmoñ ke muñh khulī haiñ salone ke vāste
mailā hai farsh par to mah-e-āj mai-kasho
laao sharāb chāñdnī dhone ke vāste
shāyad kareñge chashma-e-ḳhurshīd meñ vo ġhusl
shabnam chalī hai paanī samone ke vāste
us husn-e-pur-namak meñ ajab hai numūd-e-ḳhat
dekhā hujūm-e-mor salone ke vāste
qārūñ kā bhī ḳhazāna luTā dījiye 'munīr'
mumsik kā maal lūTiye khone ke vāste