Muneer Shikohabadi

karta hai bagh-e-dahr mein nairangiyan basant

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
kartā hai bāġh-e-dahr meñ nairañgiyāñ basant
aayā hai laakh rañg se ai bāġhbāñ basant
ham-rañg kī hai duun nikal ashrafī ke saath
paatā hai aa ke rañg-e-talā.ī yahāñ basant
joban par in dinoñ hai bahār-e-nashāt-e-bāġh
letā hai phuul bhar ke yahāñ jholiyāñ basant
mūbāf zard rañg hai sumbul kī choT meñ
khotā hai bū-e-gul kī pareshāniyāñ basant
navvāb-e-nām-dār 'zafar-jañg' ke huzūr
gaatī hai aa ke zohra-e-gardūñ-makāñ basant
jām-e-aqīq zard hai nargis ke haath meñ
taqsīm kar rahā hai mai-e-arġhavāñ basant
hote haiñ tā.irān-e-chaman nargisī kabāb
kah do ki is qadar na kare garmiyāñ basant
chehre tamām zard haiñ daulat ke rañg se
koThī meñ ho gayā hai sarāpā ayaañ basant
niilā huā hai muñh gul-e-sausan kā baaġh meñ
letā hai iḳhtilāt meñ kyā chuTkiyāñ basant
kaḌve dhare hue haiñ jo navvāb ke huzūr
bāhar hai apne jaame se ai bāġhbāñ basant
pukhrāj ke gilāsoñ meñ hai lāla-gūñ sharāb
sone kā paanī pī ke hai ratab-ul-lisāñ basant
sarsoñ jo phūlī dīda-e-jām-e-sharāb meñ
bint-ul-anab se karne lagā shoḳhiyāñ basant
zer-e-qadam hai farsh-e-basantī huzūr ke
masrūf pā-e-boss meñ hai har zamāñ basant
maiñ gard-posh ho ke banā shāḳh-e-za.afarāñ
lipTā huā hai mere badan se yahāñ basant
kartā huuñ ab tamām duā par ye chand sher
aayā pasand majma.a-e-ahl-e-zamāñ basant
jab tak ki mahv-e-qahqaha huuñ gul hazār meñ
rañgīn taar hai sifat-e-za.afarāñ basant
yārab hazār saal salāmat raheñ huzūr
ho roz jashn-e-īd yahāñ jāvedāñ basant
ahbāb surḳh-rū raheñ dushman hoñ zard-rū
jab tak manā.eñ mardum-e-hindostāñ basant
zardī kī tarah baiza-e-bulbul meñ chhup rahe
is baaġh se na jaa.e miyān-e-ḳhizāñ basant
taqdīr meñ thī furqat-e-yārān-e-lucknow
is shahr meñ 'munīr' kahāñ thā kahāñ basant
Top Urdushayar.com