shab ke haiñ maah mehr haiñ din ke
ruup dekhe butān-e-kamsin ke
bose haiñ be-hisāb har din ke
va.ade kyuuñ Tālte ho gin gin ke
haiñ vo dīvāne jazb-e-bātin ke
utrī hai shīshe meñ parī jin ke
ahl-e-dil dekhte haiñ aap kā muñh
aa.ine meñ safā.ī bātin ke
dil ravāñ ho ḳhayāl-e-yār ke saath
jaa.e maskan bhī saath sākin ke
lāġharoñ par hai zulm-e-jāñ-shiknī
ai ajal toḌtī hai kyuuñ tinke
rahe kalkatta meñ muḳhīr 'munīr'
sadqe apne imām-e-zāmin ke