Muneer Shikohabadi

kabe se mujhko lae sawad-e-kunisht mein

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
ka.abe se mujh ko laa.e savād-e-kunisht meñ
islāh dī butoñ ne ḳhat-e-sar-navisht meñ
phirte haiñ kūcha-e-but-e-qudsī-sarisht meñ
dīvāne lāteñ maar rahe bahisht meñ
kaffāra-e-sharāb maiñ detā huuñ naqd-e-hosh
sargarm huuñ talāfī-e-a.amāl-e-zisht meñ
aksar jazā-e-sajda meñ khānī haiñ Thokareñ
likkhā hai kyā ḳhat-e-kaf-e-pā sarnavisht meñ
hūroñ se garmiyāñ jo kahūñ us sharīr kī
lag jaa.e aag ātish-e-gul se bahisht meñ
suntī hai roz naġhma-e-zanjīr-e-āshiqāñ
vo zulf bhī hai silsila-e-ahl-e-chisht meñ
zindāñ se āñkheñ señkne us gul ke ghar ga.e
dozaḳh se aag lene chale ham bahisht meñ
begāne ik hamīñ nazar aa.e pas-e-fanā
bedardoñ kā hujūm hai bāġh-e-bahisht meñ
but-ḳhāne meñ safedī-e-husn-e-farañg hai
girje kī raushnī hai savād-e-kunisht meñ
jal jal ke ḳhaak hote haiñ be-ashk-o-āh ham
āb-o-havā nahīñ hai hamārī sarisht meñ
garmī meñ tere kūcha-nashīnoñ ke vāste
pañkhe haiñ qudsiyoñ ke paroñ ke bahisht meñ
sonā kasā.ūñ ashrafī-e-dāġh-e-sajda kā
sañg-e-mahak lagā.ūñ binā-e-kunisht meñ
bijlī chamak ga.ī jo hañsī meñ phaḌak ga.e
shoḳhī bharī huī hai tumhārī sarisht meñ
tasvīreñ terī dast-e-hinā.ī kī le ga.e
chhāpe lahū ke ham ne lagā.e bahisht meñ
kartī haiñ ḳhuun charḳh butoñ kī ta.alliyāñ
rañg-e-shafaq lagātī hai saqf-e-kunisht meñ
abr-e-bahār jauhar-e-shamshīr-e-yār the
gulhā-e-zaḳhm khil ga.e urdī-bahisht meñ
taqdīr meñ hai terī dahān-o-kamar kā ishq
sirr-e-nihāñ likhā hai mirī sarnavisht meñ
dī jaan ek huur ke bose kī chaaT par
qismat ne mujh ko zahr diyā hai bahisht meñ
choroñ se guftugū-e-ḳhat-e-sabz-e-yār hai
tuutī kisī kā bol rahā hai bahisht meñ
adnā ġhulām-e-shāh-e-vilāyat hue 'munīr'
dasht-e-najaf kī ḳhaak hai merī sarisht meñ
Top Urdushayar.com