fauj-e-mizhgāñ kā kuchh irāda hai
zulf-e-pechāñ ne laam bāñdhā hai
lab-e-rañgīñ ko kis ne chūsā hai
dekh lo ye aqiiq jhūTā hai
kaun aayā chhaḌī savārī se
ne savārī kā kis kī shohrā hai
daañt khaTTe hue anāroñ ke
un kā seb-e-zaqan ye mīThā hai
bosa-e-lab diyā jo bigḌe ġhair
phuuT meñ tum ne qand Daalā hai
kāTte ho hamāre naam ke harf
ḳhuub shoshā hai zor-e-fiqarā hai
vasf-e-qad ke do-chand haiñ mazmūñ
koī misra.a nahīñ hai dohra hai
daañt kañghī kā he magar mujh par
mār-e-gesū jo kaaTe khātā hai
ḳhuub hai vasl-e-āshiq-o-ma.ashūq
ye bhī joḌī kā ek nusḳha hai
zaḳhm-e-dil par namak chhiḌak-vāo
zā.iqa mere muñh kā phīkā hai
ġhair ke ghar bajā rahe ho sitār
tum ne dar-parda ThaaT badlā hai
koī taaza kuaañ jhakā.eñge
in dinoñ iḳhtilāt gahrā hai
chuTkī añgiyā meñ tum na Takvāo
gore siine meñ niil paḌtā hai
bosa hoñToñ kā mil gayā kis ko
dil meñ kuchh aaj dard mīThā hai
chain se haiñ faqīr ba.ad-e-fanā
qabr ke bhī sirhāne takiya hai
ai 'munīr' aap kyuuñ haiñ āzurda
ye to kahiye mizāj kaisā hai