aks-e-ruḳh-e-gulgūñ se tamāshā nazar aayā
ā.īna unhīñ phūloñ kā duunā nazar aayā
ḳhūbī meñ do-bālā vo sarāpā nazar aayā
pur-nūr badan paikar-e-jauzā nazar aayā
dil ḳhush guhroñ kā hameñ sahrā nazar aayā
kyā gard-e-yatīmī kā bagūlā nazar aayā
nairañgī-e-hairat se ravāñ rahte haiñ aañsū
tasvīr kā dariyā hameñ bahtā nazar aayā
niklā jo havā-vār meñ vo rashk-e-sulaimāñ
uḌtā sū-e-aflāk farishta nazar aayā
bālīda hai har shīsha-e-mai ab kī yahāñ tak
ek ek falak pamba-e-mīnā nazar aayā
ḳhil.at mujhe vahshat ne diyā vus.at-e-dil kā
jaame meñ mire dāman-e-sahrā nazar aayā
nazroñ meñ ye chhāyā hai ġhubār-e-dil-e-vahshī
har aañkh meñ aañsū mujhe Dhelā nazar aayā
vo ā.ina-sīmā hai dil-e-saḳht-adū meñ
botal meñ utarte hue shīsha nazar aayā
āshiq tire palkoñ kā huā zinda-e-jāved
suulī kā ḳharīdār masīhā nazar aayā
zāhid ne bhī aqd aaj kiyā bint-e-inab se
juft-e-bat-e-mai murġh-e-musallā nazar aayā
bargashta-nasībī-e-sadaf-e-dil kī kahūñ kyā
motī ke evaz is meñ phaphūlā nazar aayā
ā.īna-e-getī meñ vahī aks hai har sū
ham ne jidhar us shoḳh ko dekhā nazar aayā
karte ho mire paikar-e-vahmī ko nishāna
nāvak meñ tumhāre par-e-anqā nazar aayā
us but ke nahāne se huā saaf ye paanī
motī bhī sadaf meñ tah-e-dariyā nazar aayā
us huur kī rañgat uḌī rone se hamāre
rañg-e-gul-e-firdaus bhī kachchā nazar aayā
shīsha mai-e-gulgūñ kā unheñ madd-e-nazar hai
teġh-e-nigah-e-mast meñ chhālā nazar aayā
ho jā.eñge sab koh-e-jahāñ sañg-e-falāḳhan
vahshat meñ jo aalam tah-o-bālā nazar aayā
sham.eñ jo bujhīñ bazm-e-tilismāt ko dekhā
āñkheñ jo huiiñ band to kyā kyā nazar aayā
kyuuñ ḳhush na ho til baiTh ke mīzān-e-falak meñ
mauzūn-e-qad-e-yār kā pallā nazar aayā
mil mil ga.e haiñ ḳhaak meñ lākhoñ dil-e-raushan
har zarra mujhe arsh kā taarā nazar aayā
āñkhoñ meñ khaTaktī hai yahī daulat-e-duniyā
har sikke kī machhlī meñ bhī kāñTā nazar aayā
hai būd-e-jahāñ naqsh sar-e-āb nazar meñ
ye khel hameñ ban ke bigaḌtā nazar aayā
hairat-kada-e-dahr huā mujh se mukaddar
ā.īna-e-ījād meñ dhabbā nazar aayā
ḳhush aate nahīñ daañt kisī huur ke mujh ko
chāk-e-gul-e-firdaus meñ baḳhiya nazar aayā
muddat se nazar-doḳhta rahte haiñ giraftār
gesū kī bhī zanjīr meñ Tāñkā nazar aayā
champā-kalī us mast-e-mai-e-husn kī dekhī
gardan kī surāhī kā ye miinā nazar aayā
madfūn huā zer-e-zamīñ aap kā lāġhar
chashm-e-lahad-e-tañg meñ jaalā nazar aayā
kalkatta meñ har dam hai 'munīr' aap ko vahshat
har koThī meñ har bañgle meñ jañglā nazar aayā