Muneer Shikohabadi

kuchh nahin hasil sipar ko chir ko ya talwar toD

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
kuchh nahīñ hāsil sipar ko chiir ko yā talvār toḌ
hai agar tāqat to mere āñsuoñ kā taar toḌ
terī chashm o zulf se saudā-e-ham-chashmī kiyā
ai sanam bādām-e-chashm-e-āhū-e-tātār toḌ
zulf meñ motī pironā mere haq meñ zahr hai
aaj ai mashshāta-e-dandāñ dahān-e-yār toḌ
silsila gabr-o-musalmāñ kī adāvat kā miTā
ai parī be-parda ho kar sub.ha-o-zunnār toḌ
kibr bhī hai shirk ai zāhid muvahhid ke huzūr
le ke tesha ḳhāksārī kā but-e-pindār toḌ
āb-e-gauhar se badan kī aab hotī hai ḳharāb
bojh hai ai nāznīñ ye motiyoñ kā haar toḌ
sharm kab tak ai parī lā haath kar iqrār-e-vasl
apne dil ko saḳht kar ke rishta-e-inkār toḌ
sabr kab tak raah paidā ho ki ai dil jaan jaa.e
ek Takkar maar kar sar phoḌ yā dīvār toḌ
ai zuleḳhā naqd-e-jāñ ham deñ lagā tū gañj-e-zar
qīmat-e-yūsuf kā ho jaa.e sar-e-bāzār toḌ
chaḌh ke koThe par dikhā de apne abrū meñ shikan
ai parī-paikar halāk-e-charḳh kī talvār toḌ
aa.ina hai māne-e-nazzāra-e-husn-o-jamāl
ho sake to sadd-e-askandar ko ai dildār toḌ
māne-e-mastī ko bad-mastī dikhānā chāhiye
mohtasib kā shīsha-e-dil ai bu-e-mai-ḳhvār toḌ
husn-e-peshānī se qasr-e-charḳh ko barbād kar
lauh-e-qur.āñ se tilism-e-gumbad-e-davvār toḌ
naam ko ai dil na rakh asbāb-e-islāh-e-junūñ
vādī-e-vahshat meñ chal kar nashtar-e-har-ḳhār toḌ
āñkheñ phoḌ us kī jo dekhe be-ijāzat muñh tirā
shauq se ai mast jām-e-sharbat-e-dīdār toḌ
ishq-e-zulf-e-ambar-afshāñ kā na TuuTe silsila
paañv kī zanjīr ai dast-e-junūñ sau baar toḌ
sā.il-e-bosa haiñ un ko dekh chashm-e-qahr se
aañkh ke Dheloñ se ai but ḳhātir-e-aġhyār toḌ
husn-e-ġham meñ ek muddat se muqayyad hai 'munīr'
fikr-e-duniyā kā hisār ai haidar-e-karrār toḌ
Top Urdushayar.com