aur mujh sā jaan dene kā tamannā.ī nahīñ
us kā shaidā.ī huuñ jis kā koī shaidā.ī nahīñ
saaf haiñ ham go tujhe mail-e-ḳhud-ārā.ī nahīñ
dil vahī ā.īna hai par tū tamāshā.ī nahīñ
qā.il-e-vahdat huuñ shirkat kā tamannā.ī nahīñ
tū jo tanhā hai to mujh ko fikr-e-tanhā.ī nahīñ
nāseho kyuuñ sabr karne ke liye karte ho tañg
is qadar dil tañg hai jā-e-shakebā.ī nahīñ
DhūñDhne par maiñ kamar bāñdhūñ to pā.ūñ qasr-e-yār
be-mahal hai lā-makāñ kahnā vo harjā.ī nahīñ
sach hai haq nā-haq nahīñ miltā kisī ko martaba
daar par mansūr ko auj-e-masīhā.ī nahīñ
yā karo apnā kisī ko yā kisī ke ho raho
chaar din kī zindagī meñ lutf-e-tanhā.ī nahīñ
zaar huuñ tāqat se mil jaane ko tāqat chāhiye
nā-tavānī se judā.ī kī tavānā.ī nahīñ
dasht-e-vahshat meñ nahīñ miltā hai saaye kā patā
maiñ huuñ saudā.ī mirā ham-zād saudā.ī nahīñ
ātshī shīshe kī ainak ho hamārī aañkh meñ
ham tumhārī garmiyāñ dekheñ ye bīnā.ī nahīñ
misr ke bāzār meñ kyā baḌh ga.ī yūsuf kī qadr
husn ko be-pardagī meñ aib-e-rusvā.ī nahīñ
be-mai-o-mai-ḳhāna-o-sāqī jo aa.ī mujh ko maut
halqa-e-mātam hai daur-e-charḳh-e-mīnā.ī nahīñ
ho gayā ḳhāmosh jo shahr-e-ḳhamoshāñ kā huā
hai dahān-e-gor maujūd aur goyā.ī nahīñ
donoñ nashāoñ se haiñ bāhar mast-e-sahbā-e-alast
apne mai-ḳhāne meñ daur-e-charḳh-e-mīnā.ī nahīñ
paa.eñ kyā dīvāna-e-miz.hgāñ but-e-tarsā meñ lutf
sozan-e-īsā meñ nok-e-ḳhak-e-shahrā.ī nahīñ
mere dil kī tujh ko bejā hai shikāyat ġhair se
apne ghar kā haal kahnā tarz-e-dānā.ī nahīñ
nashshe meñ zinda haiñ hai īsā-nafas apnā ḳhumār
jaan a.azā meñ chalī aatī hai añgḌā.ī nahīñ
ho ga.e TeḌhe agar ham ne jagāyā niiñd se
aap dar-parda akaḌte haiñ ye añgḌā.ī nahīñ
mai-kade par saqf-e-abr-e-rahmat-e-haq chāhiye
ehtiyāj-e-sā.ebān-e-charḳh-e-mīnā.ī nahīñ
be-ḳhatar haiñ susti-e-andām se nāzuk-mizāj
justujū-e-bāda meñ shīshoñ kī añgḌā.ī nahīñ
sar ko Takrā kar miTāyā apnī qismat kā likhā
dair meñ ka.abe meñ ab fikr-e-jabīñ-sā.ī nahīñ
aap se yūsuf hazāroñ ham se āshiq saikḌoñ
husn kā toḌā nahīñ qaht-e-tamāshā.ī nahīñ
pīr-e-gardūñ se zarā anjum uchak kar chhīn leñ
himmateñ aalī haiñ fikr-e-charḳh-e-bālā.ī nahīñ
hai mirā dasht-e-junūñ saat āsmānoñ se do-chand
rub-e-maskūñ vādī-e-vahshat kī chauthā.ī nahīñ
duḳhtar-e-raz misl-e-aflātūñ hai jab tak ḳhum meñ hai
nashshe meñ apne se bāhar hoñ ye dānā.ī nahīñ
lucknow kī aarzū meñ jaan detā hai 'munīr'
saltanat kā bhī zamāne meñ tamannā.ī nahīñ