Muneer Shikohabadi

KHaksari se jo ghafil dil-e-ghammaz hua

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
ḳhāksārī se jo ġhāfil dil-e-ġhammāz huā
ḳhaak ke parde meñ poshīda mirā raaz huā
le gayā ḳhat jo kabūtar kī tarah tā.ir-e-dil
zulf ke jaal meñ phañste hī girah-bāz huā
saaz ke parde meñ kī tū ne hukūmat sab par
na.e qānūn se tayyār tirā saaz huā
hairatī fasl-e-chaman meñ huī sarsabz aisī
sabza ruḳhsāra-e-tasvīr se āġhāz huā
raat sharmā ke tire bāloñ se rū-posh huī
zāġh-e-shab ke liye gesū par-e-parvāz huā
koThe par chehra-e-pur-nūr dikhāyā sar-e-shām
yaar se raj.at-e-ḳhurshīd kā e.ajāz huā
chaman-e-dahr meñ the dīda-e-unqā nargis
jab se maiñ shefta-e-chashm-e-fusūñ-sāz huā
sifat-e-ābla mīnā-e-falak TuuT gayā
kyā qayāmat tirī raftār kā andāz huā
jab huā mahv-e-adā baaġh meñ vo ḳhusrav-e-husn
phūloñ ke aks se gulgūñ faras-e-nāz huā
aap muñh dekhne ko ā.īna-e-dil māñgā
tasfiya us but-e-kāfir se ḳhudā saaz huā
arsa-e-dahr meñ bāñdhā jo tilism-e-ulfat
dushman-e-jāñ falak-e-shobada-pardāz huā
jaan letā hai tirī tīr-e-nigah se sab kī
ai parī paik-e-qazā bhī qadar-andāz huā
sumbul-e-āh huā turra-e-shamshād-e-bahisht
ham-baġhal mujh se jo vo sarv sar-afrāz huā
us se kuchh kah ke mujhe zab.h kiyā bātoñ meñ
tez-tar teġh-e-ajal se lab-e-ġhammāz huā
log karte haiñ kamāl-e-ruḳh-e-zebā kā vasf
ḳhalq ko yaad tirā mus.haf-e-e.ajāz huā
ai muġhannī dil-e-nādāñ nikal aayā bāhar
aaj be-parda zamāna meñ tirā saaz huā
roz-e-furqat ne kiyā tā.ir-e-dil ko haijān
gul-e-ḳhurshīd mujhe jañgal-e-shahbāz huā
bosa māñgā na gayā hoñToñ kā ai rashk-e-parī
rañg missī kā mujhe surma-e-āvāz huā
nashsha-e-ġhamza-o-andāz se sarshār huuñ maiñ
kāsa-e-umr-e-ravāñ jām-e-mai-e-nāz huā
tar-dimāġhī jo baḌhe nashsha-e-ma.anī kī 'munīr'
kāsa-e-sar mujhe jām-e-mai-e-shīrāz huā
Top Urdushayar.com