Muneer Shikohabadi

duniya se dagh-e-zulf-e-siyah-fam le gaya

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
duniyā se dāġh-e-zulf-e-siyah-fām le gayā
maiñ gor meñ charāġh-e-sar-e-shām le gayā
kī tark maiñ ne shaiḳh o barahman kī pairvī
dair-o-haram meñ mujh ko tirā naam le gayā
dozaḳh meñ jal gayā kabhī jannat meñ ḳhush rahā
mar kar bhī saath gardish-e-ayyām le gayā
maiñ justujū-e-kufr meñ pahuñchā ḳhudā ke paas
ka.aba tak in butoñ kā mujhe naam le gayā
pahnā kafan to kūcha-e-qātil meñ paa.ī raah
ka.aba meñ mujh ko jāma-e-ehrām le gayā
nafrat huī do-rañgī-e-lail-o-nahār se
maiñ sub.h o shaam us ko lab-e-bām le gayā
kuchh lutf ishq kā na milā jīte-jī 'munīr'
nāhaq kā rañj muft kā ilzām le gayā
Top Urdushayar.com