tasvīr-e-zulf-o-āriz-e-gulfām le gayā
murġhān-e-quds ke liye gul-dām le gayā
duniyā se dāġh-e-zulf-e-siyah-fām le gayā
maiñ gor meñ charāġh sar-e-shām le gayā
kī tark maiñ ne shaiḳh-o-barahman kī pairvī
dair-o-haram meñ mujh ko tirā naam le gayā
kyā kyā dikhā.ī sair-e-safed-o-siyāh-e-dahr
kis kis taraf ko ablaq-e-ayyām le gayā
e.ajāz maiñ ne raj.at-e-ḳhurshīd kā kiyā
bālā-e-bām us ko sar-e-shām le gayā
bhaTke phire do amla-e-dair-o-haram meñ ham
is samt kufr us taraf islām le gayā
chehle ke gul chaḌhā.e koī merī qabr par
maiñ ārzū-e-vasl-e-gul-andām le gayā
pistān-e-nau-damīda ne malvā.e ḳhuub haath
maiñ dāġh-e-hasrat-e-samar-e-ḳhām le gayā
dīdār dostān-e-vatan kā dikhā diyā
mujh ko adam meñ ablaq-e-ayyam le gayā
pahnā kafan to kūcha-e-qātil maiñ paa.ī raah
ka.abe meñ mujh ko jāma-e-ehrām le gayā
rāh-e-adam meñ sair-e-charāġhāñ nazar paḌī
turbat meñ dāġh-e-ġham dil-e-nākām le gayā
dozaḳh meñ jal gayā kabhī jannat meñ ḳhush rahā
mar kar bhī saath gardish-e-ayyām le gayā
nafrat huī do-rañgī-e-lail-o-nahār se
maiñ sub.h-o-shām us ko lab-e-bām le gayā
zer-e-zamīñ ġhurūb huā āftāb aaj
turbat meñ daaġh bāda-e-gulfām le gayā
tīr-e-sitam se mil ke uḌā jānib-e-adam
par aap ke ḳhadañg se maiñ daam le gayā
maiñ justujū-e-kufr meñ pahuñchā ḳhudā ke paas
ka.abe tak un butoñ kā mujhe naam le gayā
saaqī ke paas vus.at-e-mashrab ne raah dī
maiñ kāsa-e-falak evaz-e-jām le gayā
kuchh lutf ishq kā na milā jīte-jī 'munīr'
nāhaq kā rañj muft kā ilzām le gayā