dushman kī malāmat balā hai
ye mom kā saañp kāTtā hai
vasvās-e-hisāb-e-hashr kyā hai
gumnāmoñ ko kaun pūchhtā hai
aalam mushtāq diid kā hai
vo but na dikhā.e muñh ḳhudā hai
vo sīm-badan magar ḳhafā hai
sonā jo harām ho gayā hai
sar-tā-pā huuñ ba-rañg-e-tasvīr
kyā zo.af kā rañg jam gayā hai
qashqa khiñchā hai abrūoñ meñ
do nīmche ek par tulā hai
mahfūz uftādgī ne rakkhā
ta.avīz meñ naqsh-e-boriyā hai
gardish se milī mujhe sa.ādat
har aabla baiza-e-humā hai
jhaḌte haiñ phuul muñh se ai gul
bātoñ kā jhaaḌ motiyā hai