Muneer Shikohabadi

pech fiqre par kiya jata nahin

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
pech fiqre par kiyā jaatā nahīñ
koī dhāgā do baTā jaatā nahīñ
bosa-e-lab ġhair ko dete ho tum
muñh mirā mīThā kiyā jaatā nahīñ
zo.af ne yak-dast toḌe pā-e-zīst
nabz-e-murda huuñ hilā jaatā nahīñ
zulf se sumbul kare kyā ham-sarī
pech choTī kā kiyā jaatā nahīñ
teġh-e-husn-e-yār se majrūh hai
tota-e-ḳhat se uḌā jaatā nahīñ
qabr kā tālib abas hai jism-e-zār
chashm-e-dushman meñ samā jaatā nahīñ
kyā kashīda sūrat-e-tasvīr huuñ
nā-tavānī se khiñchā jaatā nahīñ
zo.af se pahuñcheñge kyūñ-kar aap tak
aap se bāhar huā jaatā nahīñ
khiñch sake tasvīr betābī meñ kyā
ek sūrat par rahā jaatā nahīñ
ruuh ko bhī bosa-e-lab kī hai chaaT
mar ga.e lekin marā jaatā nahīñ
murde se bad-tar huuñ go jiitā huuñ maiñ
rañg-e-hastī meñ milā jaatā nahīñ
rañg kyā qadd-ḳhamīda kā khile
chhalle ke gul se khilā jaatā nahīñ
roz añgiyā hotī hai ārāsta
kab nayā bañgla sajā jaatā nahīñ
pech meñ aane ko tāqat chāhiye
tere dam par bhī chaḌhā jaatā nahīñ
itr khiñchtā hai hamārī ḳhaak kā
haath malne kā mazā jaatā nahīñ
chuTkiyāñ mere sarāpe meñ na lo
jāma-e-hastī chunā jaatā nahīñ
koī kyā ham ko bānegā 'munīr'
aise bigḌe haiñ banā jaatā nahīñ
Top Urdushayar.com