saḳht-jānī kā sahī afsāna hai
shāhid-e-teġh-e-zabāñ dandāna hai
maqtal-e-ālam mirā vīrāna hai
dīda-e-bismil charāġh-e-ḳhāna hai
sham-e-raushan āriz-e-jānāna hai
ḳhāl-e-mushkīñ sham.a kā parvāna hai
dil meñ aks-e-chehra-e-jānāna hai
aa.ine kā aa.ine meñ ḳhāna hai
kaun duniyā meñ rahe dīvāna hai
ek ujḌā sā musāfir ḳhāna hai
terī mahfil ka.aba hai ai sham.a-rū
tā.er-e-qibla-numā parvāna hai
āñkheñ maltā huuñ tumhārī zulf se
panja-e-mizhgāñ ba-rañg-e-shāna hai
sham.a-rūoñ kī tajallī dekhiye
kirmak-e-shab-tāb har parvāna hai
āb-e-ḳhanjar kyā sharāb-e-nāb thī
raqs-e-bismil laġhzish-e-mastāna hai
ḳhalq-e-ālam ko pahuñchtā hai gazand
nafs-e-ammāra sag-e-dīvāna hai
bāda-noshān-e-azal haiñ ser-chashm
jis taraf dekheñ udhar mai-ḳhāna hai
abr aatā hai to biktī hai sharāb
naqd-e-rahmat hāsil-e-mai-ḳhāna hai
ek tere naam kā kartā huuñ zikr
mujh ko vird-e-sub.ha-e-yak-dāna hai
khāte haiñ añgūr piite haiñ sharāb
bas yahī mastoñ kā āb-o-dāna hai
kis taraf karte ho sajde zāhido
ka.aba ek ujḌā huā but-ḳhāna hai
chashm-e-mūsā ke hoñ parde kaan meñ
lan-tarānī kā bayān afsāna hai
ThanDe ThanDe sote haiñ zer-e-zamīñ
gor apne vāste tah-ḳhāna hai
kyā bane saudā tirā ai ḳhud-farosh
mol jo ham ne kahā bai.āna hai
dekhte haiñ but mirī betābiyāñ
sar bahaknā sajda-e-shukrāna hai
kyā tirā ā.īna-e-rū saaf hai
naqd-e-jāñ letā yahāñ jurmāna hai
garm naale sard haiñ ai ham-safīr
zāhiran kunj-e-qafas ḳhas-ḳhāna hai
kī mai-e-muft aaj qaazī ne halāl
fī-sabīlillāh har mai-ḳhāna hai
iḳhtilāt apne anāsir meñ nahīñ
jo hai mere jism meñ begāna hai
kyā samundar ko dikhā.eñ garmiyāñ
dozaḳh apnā ek ātiash-ḳhāna hai
ho ga.e misl-e-sulaimāñ ahl-e-ishq
ai parī kyā himmat-e-mardāna hai
dil hai ā.īna to askandar huuñ maiñ
husn kī daulat mirā nazrāna hai
arsh tak gardūñ se dekhā ai sanam
saat ziine kā ye bālā-ḳhāna hai
khel jaate haiñ hazāroñ jaan par
ishq-bāzī bāzī-e-tiflāna hai
jaan detā huuñ magar aatī nahīñ
maut ko bhī nāz-e-ma.ashūqāna hai
paate haiñ naqd-e-zar-e-gul be-hisāb
bāġh-e-ālam us kā daulat-ḳhāna hai
aaj hai mahv-e-shanā vo sham.a-rū
har par-e-māhī par-e-parvāna hai
dil kahāñ ye nafs-e-ammāra kahāñ
aa.ina pesh sag-e-dīvāna hai
iffat-e-mashshāta kis se ho bayāñ
panja-e-maryam tumhārā shāna hai
mai-kade ke kaam dil se lījiye
ḳhum kā ḳhum paimāna kā paimāna hai
lucknow kā mujh ko saudā hai 'munīr'
dil husain-ābād par dīvāna hai