Muneer Shikohabadi

jalson mein guzarne lagi phir raat tumhaari

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
jalsoñ meñ guzarne lagī phir raat tumhārī
is bhiiḌ meñ jaatī na rahe baat tumhārī
hai jalva-gar-e-dair-o-haram zaat tumhārī
Thahrī hai do amla meñ mulāqāt tumhārī
jalva sifat-e-sham.a hai gardan se kamar tak
kis nuur ke sāñche meñ Dhalī gaat tumhārī
khole hue gesū na dikhā.e mujhe sūrat
mehmān mire ghar na hue raat tumhārī
pacchīsī bahut kheltī ho ġhair se ai jaañ
kauḌī kī na ho jaa.e kahīñ baat tumhārī
āñkhoñ meñ nahīñ silsial-e-ashk shab-o-roz
tasbīh paḌhā karte haiñ din raat tumhārī
kaTvā ke mire dast-e-tamannā ko vo bole
do haath ghaTī aaj mulāqāt tumhārī
farmāte haiñ hañs hañs ke mujhe dekh ke giryāñ
le Dūbegī āḳhir tumheñ barsāt tumhārī
mastī jo lagā kar mujhe bātoñ meñ uḌaao
uḌ jaa.e dhuāñ ban ke ye zulmāt tumhārī
pāmāloñ kī āñkhoñ meñ subuk mujh ko na karnā
Dartā huuñ ki halkī na paḌe baat tumhārī
kahte haiñ taġhāful se mujhe zahr khilā kar
in rozoñ bahut talḳh hai auqāt tumhārī
jo kuchh kaho bar-aks koī kah nahīñ saktā
kyā taab hai ulTe jo koī baat tumhārī
kahtā huuñ ki bosa bhī milā jaan bhī paa.ī
va.ada na karo ḳhair ināyāt tumhārī
āñkhoñ meñ bhī siine meñ bhī dil meñ bhī tumhīñ ho
kis parde meñ poshīda nahīñ zaat tumhārī
hūroñ meñ huā kartī haiñ taqrīr kī naqleñ
Dar hai na bigaḌ jaa.e kahīñ baat tumhārī
pahnā ke kafan ḳhaak ke parde meñ chhupāyā
duhre diye ḳhil.at ye ināyāt tumhārī
hoñToñ se jo phir jaatī hai muñh kī taraf ai jaan
kyā nashshe meñ bahkī huī hai baat tumhārī
kī qat.a abas zulf na thā koī giraftār
tanhā rahe be-lutf kaTī raat tumhārī
bad-go ho ye afsāna rahe ahl-e-jahāñ meñ
qissa ho bigaḌ jaa.e agar baat tumhārī
zaḳhm ek kaTārī kā ināyat nahīñ hotā
kauḌī koī miltī nahīñ ḳhairāt tumhārī
uljhā hai magar zulf meñ taqrīr kā lachchhā
suljhī huī ham ne na sunī baat tumhārī
allāh re safā muñh nazar aatā hai badan meñ
ā.īna hai ai jaan karāmāt tumhārī
farmā.ishoñ kā bojh raqīboñ se na uTThā
sad shukr ki halkī na huī baat tumhārī
shīrīñ se na ho dil kahīñ farhād kā khaTTā
Dartā huuñ ki shīrīñ hai bahut baat tumhārī
kyā sher mazedār 'munīr' aaj paḌhe haiñ
har baat meñ e.ajāz hai kyā baat tumhārī
Top Urdushayar.com