raah kar ke us but-e-gumrāh ne dhokā diyā
gir paḌe andhe kuñ.eñ meñ chaah ne dhokā diyā
ho ga.e maġhrūr mujh ko āshiq apnā jaan kar
haa.e is dil kā burā ho aah ne dhokā diyā
jaan kar us but kā ghar ka.abe ko sajda kar liyā
ai barahman mujh ko baitullāh ne dhokā diyā
maiñ ne jaanā baal muñh par khol kar aa.e huzūr
chhup kar abr-e-tar meñ qurs-e-māh ne dhokā diyā
sheḳh sāhab aap ko but-ḳhāne meñ laayā 'munīr'
pīr-o-murshid banda-e-dargāh ne dhokā diyā