har kisī kī hai zabānī dostī
kyā kisī kī āzmānī dostī
the musāfir do alag rastoñ ke ham
ho ga.ī bas nā-gahānī dostī
DhūñDhtā hai har rifāqat meñ na.ī
dil hamesha ik purānī dostī
dafn hai siine meñ mere aaj bhī
us kī merī āñ-jahānī dostī
dostoñ ko dil dukhānā aa gayā
aa ga.ī ham ko nibhānī dostī
kuchh to terī bhī ḳhatā hogī 'faroġh'
gar huī hai sargirānī dostī