ḳhūbān-e-fusūñ-gar se ham uljhā nahīñ karte
jādū-garoñ kī zulf meñ laTkā nahīñ karte
Darte haiñ ki nāloñ se qayāmat na machā duuñ
is ḳhauf se vo vāda-e-fardā nahīñ karte
barbād haiñ lekin nahīñ yāroñ se mukaddar
go ḳhaak haiñ par dil kabhī mailā nahīñ karte
iqrār-e-shifā karte haiñ par rakhte haiñ bīmār
achchhā jo vo kahte haiñ kuchh achchhā nahīñ karte
sūraj haiñ kabhī chāñd kabhī sham.a kabhī phuul
kis roz na.e ruup vo badlā nahīñ karte
dil se huuñ 'munīr' apne maiñ ustād kā āshiq
tauqīr o ri.āyat mirī kyā kyā nahīñ karte