Muneer Shikohabadi

sabza tumhaare ruKH ke liye tang ho gaya

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
sabza tumhāre ruḳh ke liye tañg ho gayā
tuutī kā aks aa.ine meñ zañg ho gayā
past-o-buland dahr meñ khātā huuñ Thokareñ
aisā samand-e-umr-e-ravāñ lañg ho gayā
bismil ko bhī taḌapne kī miltī nahīñ jagah
kyā arsa-e-hayāt-e-jahāñ tañg ho gayā
ham-zād se bhī ye tan-e-lāġhar huā subuk
tolā to apne saaye kā pāsañg ho gayā
josh-e-junūñ ne jism ke purze uḌā diye
raḳht-e-barahnagī bhī mujhe tañg ho gayā
us but se jism-e-zār jo lipTā shab-e-visāl
aalam ko ehtimāl-e-rag-e-sañg ho gayā
mazmūn-e-āh-e-garm ne jalva dikhā diyā
uḌ kar havā meñ naama mirā chañg ho gayā
naale kiye tasavvur-e-gesū meñ raat bhar
dil ham-safīr-e-murġh-e-shab-āhañg ho gayā
sar kaT ke gir paḌā usī qātil ke paañv par
jallād se milāp dam-e-jañg ho gayā
uḌ uḌ ke mere chehre par ai shoḳh rah gayā
murġh-e-shikasta-bāl mirā rañg ho gayā
kartā rahā luġhāt kī tahqīq umr bhar
a.amāl-nāma nusḳha-e-farhañg ho gayā
muñh tak bhī zo.af se nahīñ aa saktī dil kī baat
darvāza ghar se saikḌoñ farsañg ho gayā
mahrūm huuñ maiñ ḳhidmat-e-ustād se 'munīr'
kalkatta mujh ko gor se bhī tañg ho gayā
Top Urdushayar.com