hotī hai haar jiit pinhāñ baat baat meñ
chaupaḌ bichhī hai anjuman-e-kā.enāt meñ
rakh fikr-e-jism āryatī kā.enāt meñ
chorī na jaa.eñ maañg ke kapḌe barāt meñ
pyāse mirī lahū ke haiñ sab kā.enāt meñ
kashti-e-umr chaltī hai āb-e-furāt meñ
be-aql ho ke aa ga.e hastī kī ghaat meñ
dīvāne ban ke phañs ga.e qaid-e-hayāt meñ
saaqī se kah do sabza-e-tar meñ bahā sharāb
Tāñke kadū kī bel qabā-e-nabāt meñ
kī talḳh guftugū lab-e-jāñ-baḳhsh se mudām
afyūn gholī aap ne āb-e-hayāt meñ
qaa.em mizājiyoñ meñ bhī ġhaflat muhīt hai
hai ḳhvāb-e-marg maḳhmal-e-rañg-e-sabāt meñ
hoñToñ kā ishq thā ye rahe aabrū kī baat
murde ko ġhusl dījiye āb-e-hayāt meñ
pahuñchā jo tere kūche meñ ḳhud-rafta ho gayā
jaatā rahā maiñ aap se rāh-e-najāt meñ
malte haiñ ḳhūb-rū tire ḳheme se chhātiyāñ
añgiyā kī Doriyāñ haiñ muqarrar qanāt meñ
hastī meñ tark kījiye zulfoñ ke ishq ko
zanjīreñ dohrī toḌiye qaid-e-hayāt meñ
mūsā-o-ḳhizr ne tire baTne ke vāste
gholā hai barq-e-tūr ko āb-e-hayāt meñ
ġhārat kiyā aḳhīr javānī meñ dahr ko
duniyā tamām luuT lī thoḌī sī raat meñ
juz dāġh-e-zindagī meñ nahīñ aur kuchh surūr
afyūn kab hai lāla-e-rañg-e-sabāt meñ
muddat se Dher jāda-e-bāk-e-najaf meñ hai
takiya hai is faqīr kā rāh-e-najāt meñ
shādī huī jo raat ko khele vo ganjifa
raushan kiyā ġhulām ne ikkā barāt meñ
kūche meñ rakh ke āshiq-e-muztar kī haDDiyāñ
machhlī ke kāñTe bo diye rāh-e-najāt meñ
dil kī safā ho jāma-e-hastī meñ jalva-gar
jeb-e-sahar ugā.ūñ qabā-e-hayāt meñ
sāvan ke badle gā.iye 'hāfiz' ke sher-e-tar
jhūlā zarūr Dāliye shāḳh-e-nabāt meñ
hastī kī qaid se dil-e-betāb chhup gayā
machhlī na Thahrī bāzū-e-sham-e-hayāt meñ
murde jilā.e saikḌoñ Thukrā kar ai sanam
dast-e-masīh kā hai asar terī laat meñ
shīrīñ-adā.iyāñ bhī hoñ raftār-e-nāz bhī
kāfūr-e-sub.h-e-hashr ho qand-o-nabāt meñ
hoñToñ kī mastī duur kī tū ne khaTā.ī se
lemuu. kī chāshnī hai tirī mīThī baat meñ
andhā banā.eñge vo rulā kar itaab se
rahte haiñ roz aañkh churāne kī ghaat meñ
maut aa.e mujh ko hijr meñ ahmad kī ai 'munīr'
vallāh kuchh mazā nahīñ aisī hayāt meñ