aamad tasavvur-e-but-e-bedād-gar kī hai
dil kī bhī luuT ḳhāna-ḳharābī jigar kī hai
taqdīr kī kajī ho ki TeḌhā ho āsmāñ
ye sab ināyat aap kī tirchhī nazar kī hai
ik baar tiir maar ke ab tak ḳhabar na lī
yārab nigāh-e-mast ye kis be-ḳhabar kī hai
ye rañg-o-bū kahāñ gul-e-tar ko nasīb thā
utrī huī qabā kisī rashk-e-qamar kī hai
phir bhī kabhī nigāh-e-karam hogī is taraf
ummīd aaj tak usī pahlī nazar kī hai